| printable copy of the lyrics to YEH KAHAN AA GAYE HUM | |
| --MALE--
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain |
Not the lyrics to "YEH KAHAN AA GAYE HUM" ?, Please report that below. |
|
--FEMALE--
Yeh kahan aa gaye hum Yunhi saath saath chalte Teri baahon mein hai jaanam Mere jism-o-jaan pighalte Yeh kahan aa gaye hum Yunhi saath saath chalte |
Do you know what album had this song, can you report to us below? |
|
--MALE--
Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai Yeh chaand hai ya tumhaara kangan Sitaarein hai ya tumhaara aanchal Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai Yeh sochta hoon main kab se gumsum Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai Ke tum nahin ho, kahin nahin ho Magar yeh dil hai ke keh raha hai Ke tum yahin ho, yahin kahin ho |
If you can not find the lyrics you want, You may want to request them. |
|
--FEMALE--
O, tu badan hai main hoon chhaaya Tu na ho to main kahan hoon Mujhe pyaar karne waale Tu jahan hai main vahan hoon Hamein milna hi tha hamdam Issi raah pe nikalte Yeh kahan aa gaye hum Yunhi saath saath chalte Mm, meri saans saans maheke Koi bheena bheena chandan Tera pyaar chaandni hai Mera dil hai jaise aangan Koi aur bhi mulaayam Meri shaam dhalte dhalte Yeh kahan aa gaye hum Yunhi saath saath chalte |
To see or contribute to the discussion and comments on "YEH KAHAN AA GAYE HUM" lyrics, Please visit this song's lyrics page |
|
Advertisement -------------------- | |
|
--MALE--
Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi |
To add comments to "AMITABH BACHCHAN", Go to the lyrics listing page |
|
--FEMALE--
Yeh kahan aa gaye hum Yunhi saath saath chalte Yeh kahan aa gaye hum |
Anything wrong with the lyrics to "YEH KAHAN AA GAYE HUM" on this page, Would you please report that ? |